Mai Gyanananda Swabhavi Hun

Dr. Hukamchand Bharill, Nidhi Saraogi

Mai hu apne me swayam purna
Par ki mujhme kuch gandha nahi
Mai aras arupi asparshi,
Par se kuch bhi sambandha nahi

Mai rang raag se bhinna
Bhed se bhi mai bhinna nirala hun
Mai hu akhanda chaitanya pinda
Nij ras me ramne wala hun

Mai hi mera karta dharta
Mujhme par ka kuch kaam nahi
Mai mujhme rehne wala hun
Par me mera Vishram nahi

Mai shuddha buddha aviruddha ek
Par parinati se aprabhavi hun
Aatmanubhuti se prapta tatva
Mai Gyanananda Swabhavi hun

Meri Bhavna

Pandit Jugalkishor Jain Mukhtar “Yug Veer”

Jisne raag dvesh kamadik jeete sab jag jaan liya,
Sab jeevon ko moksha marg ka nisprah ho updesh diya,
Buddh, veer, jin, hari, har, brahma, ya usko swaadhin kaho,
Bhakti bhaav se prerit ho yeh chitt usi mei leen raho ||1||

Vishayon ki aasha nahi jinke samyabhaav dhan rakhte hain,
Nij-par ke hit saadhan mei jo nishdin tatpar rehte hain,
Swarth tyaag ki kathin tapasya bina khed jo karte hain,
Aise gyaani saadhu jagat ke dukh samuh ko harte hain ||2||

Rahe sadaa satsang unhi ka dhyaan unhi ka nitya rahe,
Unhi jaisi charya mei yeh chitt sada anurakt rahe,
Nahi satau kisi jeev ko juth kabhi nahi kaha karu,
Par dhan vanita par na lubhau santoshamrit piya karu ||3||

Ahankaar ka bhaav na rakhu nahi kisi par krodh karu,
Dekh dusro ki badhti ko kabhi na irshya bhaav dharu,
Rahe bhavna aisi meri saral satya vyavhaar karu,
Bane jaha tak is jeevan mei auro ka upkar karu ||4||

Maitri bhaav jagat mei mera sab jeevon se nitya rahe,
Deen dukhi jeevon par mere ur se karuna srot bahe,
Durjan krur kumarg-rato par kshobh nahi mujhko aave,
Saamyabhaav rakhu main unpar aisi parinati ho jaave ||5||

Guni jano ko dekh hriday mei mere prem umad aave,
Bane jaha tak unki seva karke yeh man sukh paave,
Hou nahi krataghna kabhi main droh na mere ur aave,
Gun grahan ka bhaav rahe nit drishti na doshon par jaave ||6||

Koi bura kaho ya achcha lakshmi aave ya jaave,
Laakhon varsho tak jiyu ya mrityu aaj hi aa jaave,
Athva koi kaisa hi bhay ya laalach dene aave,
To bhi nyaay maarg se mera kabhi na pag digne paave ||7||

Hokar sukh me magna na phule dukh me kabhi na ghabraave,
Parvat nadi shamshaan bhayanak atvi se nahi bhay khaave,
Rahe adol akamp nirantar yeh man dridhtar ho jaave,
Isht viyog anisht yog me sahansheelta dikhlaave ||8||

Sukhi rahein sab jeev jagat ke koi kabhi na ghabraave,
Bair paap abhimaan chhod jag nitya naye mangal gaave,
Ghar ghar charcha rahe dharma ki dushkrit dushkar ho jaave,
Gyan charit unnat kar apna manuj janam phal sab paave ||9||

Iiti bhiiti vyape nahi jag me vrishti samay par hua kare,
Dharmnishth hokar raja bhi nyay praja ka kiya kare,
Rog mari durbhiksha na faile praja shanti se jiya kare,
Param ahimsa dharma jagat mei phail sarv hit kiya kare ||10||

Phaile prem paraspar jag mei moh duur hi raha kare,
Apriya katuk kathor shabd nahi koi mukh se kaha kare,
Bankar sab yugvir hriday se deshonnati rat raha kare,
Vastu swarup vichar khushi se sab dukh sankat saha kare ||11||

Rahe bhavna aisi meri……..